Wednesday, May 6, 2020

Koshish

Main Shayar to nahi, sirf lafze bayaan main karta hun,
jhuki palkon ke daman se dil e darbar pesh karta hun,
yaadon ki fati kitaab ke un panno me pinhaan,
na jane aaj main kis kahani ki talaash karta hun!


Ranjish

Talab bhi na thi jiski rooh ko kal tak,
Aaj usi ki Justajoo yeh karta hai!
Muardon ka Qafila liye firta dar-ba-dar,
Banjara Dil hi to hai, kambhakat kahan manta hai!!

Takraar

Gham ne kaha khushi ko ik din, apne hone pe na itna ghuroor kar!
Jo main na hota tera ashna, to muskurahaton me v wo raunak na hoti!!

Dua

Yun to dekhun sabki muradein poori karta hai tu,
Jholiyan bhari ho fir bhi, aarzoo ki inaayat karta hai tu!
Ek faqat dua meri v thi, tere darbar-e-gulshan mein,
Shayad tujhe ilm tak na ho uski, jo ghumshuda hai teri hi mehfil me!

No comments:

Post a Comment